Sunday, 30 December 2012

Aik pal main zindagi ka hosala paya


Aik pal main zindagi ka hosala paya
Un ke milne se hi hamain jeena aya

Aik umar guzar di sunsan rahon pe
Shehar ki shore ne manzel bhula diya

Waqat ki aanch se mohabat jal gayi
Jan se payra ab pehchana nahi jata

Hujoom main khamoshi tanhayi main batain
Tum se doori ne hal hamara yi kia kia

Becharay hoye bhi kabhi mil jatay hain
Umeed aisi wo kyun dil main jaga baitha

Ishaq ki basti ke ham bhi shehenshah hote
Zarooraton ne hamain kar diya mukhtaj warna

No comments:

Post a Comment