Jo Na Mil Saka Wohi Bewafa
Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Gaya Mujhe Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...
Woh Roshni Ke Khayal Main
Woh Na Asaka Raah Mein Muntazir
Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main
Meri Justjoo Ko Khabar Nahi
Na Wo Din Rahe Na Wo Raat Rahe
Jo Chala Gaya Mujhe Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai..
Kare Pyar Lab Pe Koi Gila Na Ho
Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai
Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi
Wo Juda Bhi Rehke Qareeb Hai
Wo Aankh Hai Mere Ru Baru
Ussi Haath Mein Mera Haath Hai
Jo Chala Gaya Mujhe Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai
Mera Nam Tak Jo Na Le Saka
Jo Mujhe Qarar Na De Saka
Jisse Ikhtiyaar To Tha Magar
Mujhe Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Meri Talassh Hai
Wohi Dard Meri Hayaat Hai
Jo Chala Gaya Mujhe Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...

No comments:
Post a Comment