Mohabbat ki riyazat main
Wafaaon ki musaafat main
Qadam kis ke kahaan behkey,
Hoi kis sey kahaan larzish
Basaa di jis ney ik pal main,
humaari aankhon main baarish
Ke jis ki tez boondon ney
Kisi tezaab ki soorat
Nishaan-e-manzi l- e-dil hi,
Jala dala mita dala
Magar jaanan
Kahaan aasan hota hey?
Jigar ka khoon ashkon mein,
Badalna aur bahaa dena
Khas-o-khashaak chun chun kar
Gharonda ik banana aur…
Ussi ko phir jala dena
Jawaan sapnon ki laashon ko
Daroon-e-jaan chuhpaa kar…muskura dena
Khizaaein paalna khud mein,
Bahaarein baant-tey phirna
Kahaan aasaan hota hey..?
Bohat mumkin hey hum bhi haar hi jayein
Jawaan hey zabt jo ab tak
Muqaabil ghum ke aaey..
Aur Dhaaye jaaye
Aur iss mein bhii taaajub kyaa?
Tumhaarey lout aaney ki..
Bachi ho aas jo koi
Nawaaey be-zubaan ban kar
Sisak kar phir sey utthey aur..
Tum tak bhi puhanch jaaye
So tum sey yeh guzaarish hey
Tab ik ehsaan tum karna
Palat kar dekhna yuun sard nazron sey
Ke jo bhii aas zinda ho..
Ussey yak-sar mita dena
Humein pathar bana dena !!!
No comments:
Post a Comment