Sunday, 30 December 2012

Pyar k Deep Jalany walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain


Pyar k Deep Jalany walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain

Apni Jaan say Janay walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain

Hijr k Gehray Zakham milay to Mujh ko ye Ehsas huwa

Pagal ko samajhanay walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain

Jaan say Pyaray Logon say bhi Kuch Kuch Parda Lazim hay

Sari Baat batanay walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain

Uss k Ishq main Bheeg k "WASI" Hum ko ye Ehsas huwa

Dil ki Baat main aanay walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain...

No comments:

Post a Comment