Sunday, 30 December 2012

Usne kaha,"Tum me pehle jaisi baat nahi"


Usne kaha,"Tum me pehle jaisi baat nahi".
Maine kaha,"zindagi mein tera saath jo nahi".

Usne kaha,"ab bhi kisi ki ankhon me doob sakte ho"
Maine kaha,"kisi ki ankhon mein ab woh baat nahi."

Usne kaha,"kyun itna toot kar chaha mujhe"
Maine kaha,"insaan hu patthar dil nahi."

Usne kaha,"kya bewafaa hu main".
Maine kaha"mujhe ab vafa ki talash nahi".

usne kaha"bhul ja mujhe ab".
mene kaha"tum hakikat ho koi khawab nahi"...

No comments:

Post a Comment