Uss simt ko chalay ho to itna usay kehna
Ab koi nahi harf-e-tamana usay kehna...
Tum ney hi kaha tha to yaqeen muj ko hua tha,
Chahat nahi hoti kabhi ruswa usay kehna...
Duniya to kisi hal mai jeenay nahi deti,
Umeed pay qayam hai yeh dunya usay kehna...
Zarkheez zameney kabhi banjar nahi hotein,
Darya hi badal letey hain rasta usay kehna...
Khuch loag safar kay liye mozoon nahi hotay,
Khuch rastay kat'tay nahi tanha usay kehna

No comments:
Post a Comment