Sunday, 20 January 2013

Haath Seny Pe Jo Rakh Do To Qaraar Aa Jaaye

Haath Seny Pe Jo Rakh Do To Qaraar Aa Jaaye

Dil ke uja.De hue gulashan me.n bahaar aa jaaye

dil to kahataa hai ki aankhon men chhupaa loon tujh ko
Dar yahii hai ki muqaddar ko nakaar aa jaaye

dil ke zakhmon pe mere pyaar kaa maraham rakh do
beqaraarii men mujhe kuchh to qaraar aa jaaye

yun Khudaa ke liye chhiino na mere hosh-o-havaas
aisii nazaron se na dekho ki Khumaar aa jaaye

chod ke tum bhii chale jaaogii qismat kii tarah
baad azaane to ajal hii ko na pyaar aa jaaye

No comments:

Post a Comment