Friday, 5 October 2012

Mujhe khud se hain shikaytain


Mujhe khud se hain shikaytain, Mujhe
zindagi se gilaa nahin,
Ke jo chaha mene woh paa liya, Nahin aesa
kuch jo mila nahin,
Mere aas paas hai roshni, Mere raaston
mein chirag hain,
Yeh tere karam ka hai mojzaa, Meri justuju
ka silaa nahin,
Teri aankh se jo haseen ho, Woh nigaah jag
main bani nahin,
Tere rukh ko jis se misaal doon, Koi aesa
phool khilaa nahin,
Yeh jo teri zulf ka hai haashia, Yeh jo tera
chehra hai khush’numa,
Koi raat aesi siyaah nahin, Kisi subaah mein
yeh jala nahin,
Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain! Yeh jo
aayino ki hain hairtain,
Hain azzal se sab yeh isi tarah, Koi apni
jagha se hillaa nahin..

No comments:

Post a Comment