Us simt mujh ko yar ne jane nahi diya
ek aur shahar-e-yar mein aane nahi diya
kuch aur waqt chahate the ki sochen tere liye
tune wo waqt hum ko zamane nahi diya
manzil hai is mahak ke kahan kis chaman mein hai
is ka pata safar mein hawa ne nahi diya
roka ana ne kavish-e-besud se mujhe
us but ko apna hal sunane nahi diya
hai jis ke bad ahad-e-zaval-ashna “munir”
itna kamal hum ko khuda ne nahi diya

No comments:
Post a Comment