Zindagi Insan Ki Ek Dam Ke Sawa Kuch Bhi Nahin
Dam Hawa Ki Mouj Hai, Ram Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Gul Tabassum Keh Raha Tha Zindagaani Ko Magar
Shama Boli, Girya-e-Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Raaz-e-Hasti Raaz Hai Jab Tak Koi Mehram Na Ho
Khul Gya Jis Dam To Mehram Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Zaeeran-e-Kaaba Se Iqbal Ye Puche Koi
Kya Haram Ka Tohfa Zamzam Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

No comments:
Post a Comment