Wednesday, 6 June 2012

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga


Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga

Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain

Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi

Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap

Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga

Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap

Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam

Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga.

No comments:

Post a Comment