Wednesday 24 July 2013

Ye waqiya bhi ajab meri zindagi ka tha

Ye waqiya bhi ajab meri zindagi ka tha
mai chahta tha usey aur wo kisi ka tha

Kisi ne torh diya mera aashyana e khawab
Mujhey bhi zaum boht apni aashqi pe tha

Tab apni wehshat e ja'n par huwa boht afsos
Jo ye suna k usey shauk dill lagi se tha

Wo aabdida huwa dekh kar mujhe sar e bazm
K uss k siney mai bhi dill to aadmi ka tha

Bitchar k mujh se wo khush hai ye sunn k dukh to huwa
Magar ye ranj bhi baiis meri khushi ka tha

Na meri zaat se matlab na merey dard se kaam
Wo moataraf to faqat meri shaiiry se tha

No comments:

Post a Comment