Saturday, 9 June 2012

Jitni mehroom tamannayen hain raat ke sard sard pehron mein


Jitni mehroom tamannayen hain
raat ke sard sard pehron mein
toote khwaabon ko yun jalaati hain
jaise unki tapish ko khud me le
phir se vo aur jeena chahti hain

koi jaker inhe ye samjhaaye
din badda sakht hai aane waala
saare jalte hue khwaabon ki raakh
us ki sakhti ko kuch badha degi
in tamannaon ki chahat us ko
bereham aur kuch bana degi

tum ho mehroom to ye maan bhi lo
tum ko ab zindigi nahi milna
laakh khwaabon ki tum tapish lelo
ab koi saans na tumko milna

mar chuki ho to dafn ho jaao
kahin tum rooh me jaake kho jaao
rooh ka honsla bahut hai azeem
tumko bhi rakh ke muskuraayegi
zindigi raas na tum ko aai
rooh taskeen tumhe dilaaye gi

thodda thehro ye aansu ponch to lo
rooh se milne tumko jaana hai

kitne gham dafn hain vahaan jaane
tum ko qabren bahut milengi vahan
paak ho jaao jaane se pehle
jitne bhi dafn hain sab the masoom
tum se hi to the mehkate se vo sab
haan hain sab vo mere armaan ke phool

unko jaker salaam tum kehna
aur kehna ki humm bhi aaiin hain
hume duniya na raas aai kuch
rooh me dafn hone aain hain

No comments:

Post a Comment