Hum zaat k auraq pe bikhri hui shab hain.
Meyar elehda hein, par insan to sub hain.
Asaib zada hai tere honto ki halawat.
Afsurda-e-khatir tere lehje ke sbab hain.
Dolat k trazu main bhi Imaan likha hay.
Hum sahib-e-kirdar hain, Parwarda-e-Rub hain.
Deroz k chehre ki ibadat bhi zara padh.
Maimaar hain ainda ke, Qatil tere kab hain.
Hum dono Mohabbat k siwa janty thay kya.
Esy to na thay Dost! k jis hal main ab hain.
Wo husan ka paikar hay, k Asaab ka Qatil.
Aankhian kisi Aahu ki hain, Yaqoot say lub hain.
Jismoo k Zakhyare ka sumandar hai,magar hum.
Ik Chashm-e-Sitam pesha se Ikhlas Talab hain
No comments:
Post a Comment