Saturday, 10 November 2012

Naram seeney me dharakteY hain woh nazuk lamhat


Naram seeney me dharakteY hain woh nazuk lamhat
jin ki lehron me utar janey kO jee chahta hai,

tum se kiya riastA hai, kab se hai ye maloam nahi
Lekin is husn per mar janey ko jee chahta hai,

Hm se behtar hai ye payal jO terey paaOn me hai
Is ki jhankaar me dhal janey kO je chahta hai,

sang-e-mar mar se tarasha hua ye shafaaf badan
Itna dilkash hai k apnaney kO je chahta hai,

surkh honton pey thirakti hai wO rangeen sharab
jis ko pee pee k behek janey kO jee chahta hai,

Dil ye chahta hai k sO jaen teri baahon me
Phr inhi baahoN me mar janey kO jee chahta hai.

No comments:

Post a Comment