Saturday, 10 November 2012

Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai


Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say hua ?
Mujhay tu khair tera intazar karna hai

Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon k chiraagh
Kabhi yeah jashan sar e rah’guzaar karna hai

woh muskura kay naey waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha k ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ki rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bey barg o baar karna hai

terey firaaq mein din kis tarha kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

Chalo ye ashak hi moti samajh kay baich aein
Kisi tarha tu humain rooz’gaar karna hai

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khda janey ye koi zid, k shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai

No comments:

Post a Comment