Monday 11 November 2013

Phool lay kar gaya, Aya rota howa

Phool lay kar gaya,aya rota howa!!
Baat assi ha kahny ka yara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko adha gawara nhi!

Shahr e matam tha iqbal ka maqbra!
Khun main laat paat kharay thay leyaqt ali

Rooh e qaid bhi sar ko jhokay howay
Kah rahy thay ye kya ghazab ho gaya
Ye tasawur tu har giz hamara nahi
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi

Qabar e iqbal say arhai thi sada..

Sar nigun tha qabar pay minar e watan
Kah raha tha k ay tajdar e watan
Ajj k no jawun ko bhala kya khabar
Kasay qayim hoa ye minar e watan.

Jis ki khatir katay mard o zaan
On ki tasweer ha ye minara nahi!
qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye watan mujh ko adha gawara nahi!

Kuch aseeran e gulshan thay hazir wahan!
Kuch seyasi mahashy bhi mojod thay!
Chand tarun k parcham main liptay hoay!
Chand tarun k lashay bhi mojood thay!

Mera hansna tu pahly he ik juram tha!
Mera rona bhi on ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada...

Kya fasana kahun mazi o haal ka
Shair tha ma ik,araz bangal ka!
Sharq say gharab tak meri parwaz thi!
Aik shaheen tha ma zahain e iqbal ka!!

Aik bazo pay urta hun ma ajj kal!!
Dosra dushmano ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye chaman.mujh ko adha gawara nahi!

Wo jo tasweer mujh ko dekhai gai!
Meray khoon e jigar say banai gai!
Qom e maao bahnoo ki jo abroo!!
Naqsha e asia pay sajai gai!!
Mor do abro,ya wo tasweer do!!
Hum ko hisun main batna gawara nahi!

Qabar e iqbal say arhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi!

No comments:

Post a Comment